Sher of Muzaffar Ali Aseer
vaah kyā is gul-badan kā shoḳh hai rañg-e-badan
jāma-e-ābī agar pahnā gulābī ho gayā
wah kya is gul-badan ka shoKH hai rang-e-badan
jama-e-abi agar pahna gulabi ho gaya
maġhfirat kī nazar aatī hai bas itnī sūrat
ham gunāhoñ se pashemān rahā karte haiñ
maghfirat ki nazar aati hai bas itni surat
hum gunahon se pasheman raha karte hain
ka.abe chaltā huuñ par itnā to batā
mai-kada koī hai zāhid raah meñ
kabe chalta hun par itna to bata
mai-kada koi hai zahid rah mein
nazzāra-e-qātil ne kiyā mahv ye ham ko
gardan pe chamaktī huī shamshīr na sūjhī
nazzara-e-qatil ne kiya mahw ye hum ko
gardan pe chamakti hui shamshir na sujhi
raunaq gulshan jo vo riñd-e-sharābī ho gayā
phuul sāġhar ban gayā ġhuncha gulābī ho gayā
raunaq gulshan jo wo rind-e-sharabi ho gaya
phul saghar ban gaya ghuncha gulabi ho gaya