Sher of Nadiya ambar lodhi
bas chand ham-ḳhayāl haiñ 'ambar' mujhe aziiz
behis jamm-e-ġhafīr nahīñ chāhiye mujhe
bas chand ham-KHayal hain 'ambar' mujhe aziz
behis jamm-e-ghafir nahin chahiye mujhe
'ambar' us ke biite kal kā qissa huuñ maiñ
phir kaahe kā shauq ki us ko yaad bhī huuñ maiñ
'ambar' us ke bite kal ka qissa hun main
phir kahe ka shauq ki us ko yaad bhi hun main
zinda rahte haiñ kyā ye kaafī nahīñ
koī lāzim hai ki phir ḳhush bhī hoñ
zinda rahte hain kya ye kafi nahin
koi lazim hai ki phir KHush bhi hon
pā-ba-jaulāñ to har ik shaḳhs yahāñ hai 'amabar'
tirī zanjīr hī kyuuñ shor bapā kartī hai
pa-ba-jaulan to har ek shaKHs yahan hai 'amabar'
teri zanjir hi kyun shor bapa karti hai
husain rif.ateñ taqsīm kartā hai ab bhī
yazīd aaj bhī rusvā.iyāñ sameTtā hai
husain rifaten taqsim karta hai ab bhi
yazid aaj bhi ruswaiyan sameTta hai
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download