Sher of Naeem Raza Bhatti
baat ye hai ki baat koī nahīñ
maiñ akelā huuñ saath koī nahīñ
baat ye hai ki baat koi nahin
main akela hun sath koi nahin
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
is ko maiñ inqalāb kahtā huuñ
ye jo inkār kī fazā se uThā
is ko main inqalab kahta hun
ye jo inkar ki faza se uTha
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
pas-e-parda bahut be-pardagī hai
bahut bezār hai kirdār apnā
pas-e-parda bahut be-pardagi hai
bahut bezar hai kirdar apna
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
ye tamāshā-e-ilm-o-hunar dosto
kuchh nahīñ hai faqat kāġhzī vahm hai
ye tamasha-e-ilm-o-hunar dosto
kuchh nahin hai faqat kaghzi wahm hai
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
apnī be-e'tidāliyoñ ke sabab
maiñ agar baḌh gayā huā kam bhī
apni be-e'tidaliyon ke sabab
main agar baDh gaya hua kam bhi
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download