Sher of Nashir Naqvi
safar kā ḳhātma hotā nahīñ kahīñ apnā
har ik paḌāv se ik ibtidā nikaltī hai
safar ka KHatma hota nahin kahin apna
har ek paDaw se ek ibtida nikalti hai
jaane kab kaun se lamhe meñ zarūrat paḌ jaa.e
tum hamāre liye pahle se duā kar rakhnā
jaane kab kaun se lamhe mein zarurat paD jae
tum hamare liye pahle se dua kar rakhna
us ke karam kā ek sahārā jo mil gayā
phir umr bhar kisī kī zarūrat nahīñ huī
us ke karam ka ek sahaara jo mil gaya
phir umr bhar kisi ki zarurat nahin hui
vafā kī raah meñ dil kā sipās rakh dūñgā
maiñ har nadī ke kināre pe pyaas rakh dūñgā
wafa ki rah mein dil ka sipas rakh dunga
main har nadi ke kinare pe pyas rakh dunga
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download