Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
Nazeer Baaqri's Photo'

Nazeer Baaqri

Sambhal, India

Nazeer Baaqri

Ghazal 10

Sher-o-Shayari 13

aa gayā yaad unheñ apne kisī ġham hisāb

hañsne vāloñ ne mire ashk jo gin ke dekhe

aa gaya yaad unhen apne kisi gham ka hisab

hansne walon ne mere ashk jo gin ke dekhe

apnī āñkhoñ ke samundar meñ utar jaane de

terā mujrim huuñ mujhe Duub ke mar jaane de

apni aankhon ke samundar mein utar jaane de

tera mujrim hun mujhe Dub ke mar jaane de

ḳhuub ga.e pardes ki apne dīvār-o-dar bhuul ga.e

shīsh-mahal ne aisā gherā miTTī ke ghar bhuul ga.e

KHub gae pardes ki apne diwar-o-dar bhul gae

shish-mahal ne aisa ghera miTTi ke ghar bhul gae

  • Share this

umr phir na hogī ujāloñ aarzū

bhī kisī charāg lau se lipaT ke dekh

ta umr phir na hogi ujalon ki aarzu

tu bhi kisi charag ki lau se lipaT ke dekh

zaḳhm kitne tirī chāhat se mile haiñ mujh ko

sochtā huuñ ki kahūñ tujh se magar jaane de

zaKHm kitne teri chahat se mile hain mujh ko

sochta hun ki kahun tujh se magar jaane de

Image Shayari 3

 

RELATED Poets

More Poets From "Sambhal"

 

Recitation

Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

Get Tickets
Speak Now