Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
Nisar Itavi's Photo'

Nisar Itavi

1914 - 1974 | Etawah, India

Nisar Itavi

Ghazal 2

 

Sher-o-Shayari 26

yaqīnan rahbar-e-manzil kahīñ par rāstā bhūlā

vagarna qāfile ke qāfile gum ho nahīñ sakte

yaqinan rahbar-e-manzil kahin par rasta bhula

wagarna qafile ke qafile gum ho nahin sakte

  • Share this

aa dost saath aa dar-e-māzī se maañg laa.eñ

vo apnī zindagī ki javāñ bhī hasīñ bhī thī

aa dost sath aa dar-e-mazi se mang laen

wo apni zindagi ki jawan bhi hasin bhi thi

  • Share this

kitne pur-haul añdheroñ se guzar kar ai dost

ham tire husn raḳhshanda sahar tak pahuñche

kitne pur-haul andheron se guzar kar ai dost

hum tere husn ki raKHshanda sahar tak pahunche

  • Share this

sub.h bichhaḌ kar shaam va.ada shaam honā sahal nahīñ

un tamannā phir kar lenā sub.h ko pahle shaam karo

subh bichhaD kar sham ka wada sham ka hona sahal nahin

un ki tamanna phir kar lena subh ko pahle sham karo

  • Share this

ye bhī huā ki dar na tirā kar sake talāsh

ye bhī huā ki ham tire dar se guzar ga.e

ye bhi hua ki dar na tera kar sake talash

ye bhi hua ki hum tere dar se guzar gae

  • Share this

BOOKS 1

 

More Poets From "Etawah"

 

Recitation

Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

Register for free
Speak Now