aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
Nishant Shrivastava Nayab's Photo'

Nishant Shrivastava Nayab

1977 | Mumbai, India

Nishant Shrivastava Nayab

Ghazal 15

Sher-o-Shayari 18

koī aisī davā de chāra-gar

bhuul jā.ūñ maiñ āshnā chehre

koi aisi dawa de chaara-gar

bhul jaun main aashna chehre

  • Share this

dhuup jhumke pe jab paḌī us ke

Dar ke sūraj ne pher āñkheñ

dhup jhumke pe jab paDi us ke

Dar ke suraj ne pher li aankhen

  • Share this

chūḌiyāñ kyuuñ utaar diiñ tum ne

sub.heñ kitnī udaas rahtī haiñ

chuDiyan kyun utar din tum ne

subhen kitni udas rahti hain

  • Share this

ham udāsī ke parastār sahī

hañste chehroñ ko duā dete haiñ

hum udasi ke parastar sahi

hanste chehron ko dua dete hain

  • Share this

sivā us ke na koī aur merā dost ban paa.e

vo is Dar se zamāna meñ mujhe badnām kartā hai

siwa us ke na koi aur mera dost ban pae

wo is Dar se zamana mein mujhe badnam karta hai

  • Share this

More Poets From "Mumbai"

Recitation

Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

GET YOUR PASS
Speak Now