Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
Niyaz Sultanpuri's Photo'

Niyaz Sultanpuri

1954 | Sultanpur, India

Dohe of Niyaz Sultanpuri

samvidhān ke qatl par huī adālat maun

bahas chhiḌī aivān meñ is par doshī kaun

samwidhan ke qatl par hui adalat maun

bahas chhiDi aiwan mein is par doshi kaun

mānavtā kyā chiiz hai kyā hai shishTāchār

ḳhuub panaptā āj-kal lāshoñ byopār

manawta kya chiz hai kya hai shishTachaar

KHub panapta aaj-kal lashon ka byopar

qadreñ sab būḌhī huiiñ mānavtā nīlām

chor-uchakkoñ ko kareñ baḌe baḌe parnām

qadren sab buDhi huin manawta nilam

chor-uchakkon ko karen baDe baDe parnam

bādal sab ruḳhsat hue monsōn ke sang

is kāran se aaj hai saarī ḳhilqat tang

baadal sab ruKHsat hue monsoon ke sang

is karan se aaj hai sari KHilqat tang

bādal ke asthān par barse hai bārūd

missile ke ahd meñ nahīñ koī bahbūd

baadal ke asthan par barse hai barud

missile ke ahd mein nahin koi bahbud

Recitation

Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

Register for free
Speak Now