Pawan Kumar
Ghazal 27
Sher-o-Shayari 2
jasārat ke rahte bhī ḳhāmosh honā
hai is ke sivā kyā sitam-posh honā
jasarat ke rahte bhi KHamosh hona
hai is ke siwa kya sitam-posh hona
-
Share this
- See Ghazal
kaleja rah gayā us vaqt phaT kar
kahā jab alvidā us ne palaT kar
kaleja rah gaya us waqt phaT kar
kaha jab alwida us ne palaT kar
-
Share this
- See Ghazal
Image Shayari 1
sunii har baat apne rahnumaa kii yahii ik bhuul ham ne baar-haa kii hu.ii jo zindagii se ittifaaqan vahii bhuul us ne phir ik martaba kii mujhii me.n guu.njtii hai.n sab sadaa.e.n magar phir bhii hai KHaamoshii balaa kii har ik kirdaar me.n Dhalne kii chaahat mataanat dekhiye bahruupiyaa kii azal ke peshtar bhii kuchh to hogaa kahaa.n phir had milegii ibtidaa kii talaatum hai.n mire merii hai.n lahre.n mujhe kyuu.n justujuu ho naaKHudaa kii hamaare saath ho kar bhii nahii.n hai shikaayat kyaa kare.n us gum-shuda kii har ik aahaT tirii aamad kaa dhoka kabhii to laaj rakh le is KHataa kii saraapaa haa.e us naazuk badan kaa ko.ii tasviir jaise apsaraa kii