Sher of Payam Fatehpuri
sukūn de na sakīñ rāhateñ zamāne kī
jo niiñd aa.ī tire ġham kī chhāñv meñ aa.ī
sukun de na sakin rahaten zamane ki
jo nind aai tere gham ki chhanw mein aai
ajiib shai hai tasavvur kī kār-farmā.ī
hazār mahfil-e-rañgīñ sharīk-e-tanhā.ī
ajib shai hai tasawwur ki kar-farmai
hazar mahfil-e-rangin sharik-e-tanhai
nafas nafas pe yahāñ rahmatoñ kī bārish hai
hai bad-nasīb jise zindagī na raas aa.ī
nafas nafas pe yahan rahmaton ki barish hai
hai bad-nasib jise zindagi na ras aai
malāmatoñ se junūñ meñ na kuchh kamī aa.ī
jarāhatoñ se baḌhī zaḳhm-e-dil kī ra.anā.ī
malamaton se junun mein na kuchh kami aai
jarahaton se baDhi zaKHm-e-dil ki ranai
ḳhushī visāl kī ab hai na rañj-e-tanhā.ī
ye kis maqām pe mujh ko hayāt le aa.ī
KHushi visal ki ab hai na ranj-e-tanhai
ye kis maqam pe mujh ko hayat le aai
tārīḳh-e-kā.enāt-e-ibādat junūñ se hai
unvān-e-aql-o-hosh hai dīvāngī kī baat
tariKH-e-kaenat-e-ibaadat junun se hai
unwan-e-aql-o-hosh hai diwangi ki baat
phailā fazā meñ naġhma-e-zanjīr-e-marhabā
zindāñ meñ ghuT ke rah na sakī zindagī kī baat
phaila faza mein naghma-e-zanjir-e-marhaba
zindan mein ghuT ke rah na saki zindagi ki baat