Sher of Peer Sher Mohammad Ajiz
kisī kī zulf ke saude meñ raat kī hai basar
kisī ke ruḳh ke tasavvur meñ din tamām kiyā
kisi ki zulf ke saude mein raat ki hai basar
kisi ke ruKH ke tasawwur mein din tamam kiya
na to maiñ huur kā maftūñ na parī kā āshiq
ḳhaak ke putle kā hai ḳhaak kā putlā āshiq
na to main hur ka maftun na pari ka aashiq
KHak ke putle ka hai KHak ka putla aashiq
jab us ne mirā ḳhat na chhuā haath se apne
qāsid ne bhī chipkā diyā dīvār se kāġhaz
jab us ne mera KHat na chhua hath se apne
qasid ne bhi chipka diya diwar se kaghaz
shab-e-vasl aaj vo tākīd karte haiñ mohabbat se
abhī so rahne do kuchh raat guzre to jagā lenā
shab-e-wasl aaj wo takid karte hain mohabbat se
abhi so rahne do kuchh raat guzre to jaga lena
phaT jaate haiñ zaḳhm-e-dil-e-betāb ke añgūr
saaqī tire hāthoñ se jo sāġhar nahīñ miltā
phaT jate hain zaKHm-e-dil-e-betab ke angur
saqi tere hathon se jo saghar nahin milta
sunā hai arsh-e-ilāhī isī ko kahte haiñ
tavāf-e-ka.aba-e-dil ham ne sub.h-o-shām kiyā
suna hai arsh-e-ilahi isi ko kahte hain
tawaf-e-kaba-e-dil hum ne subh-o-sham kiya
ziist ne murda banā rakkhā thā mujh ko hijr meñ
maut ne dikhlā diyā aa kar masīhā.ī kā rañg
zist ne murda bana rakkha tha mujh ko hijr mein
maut ne dikhla diya aa kar masihai ka rang
nāḳhun kā rañg sīna-ḳharāshī se ye huā
surḳhī shafaq se aatī hai jaise hilāl par
naKHun ka rang sina-KHarashi se ye hua
surKHi shafaq se aati hai jaise hilal par
kundanī rañg kā maiñ kushta huuñ
kyuuñ na ho merī za.afrānī ḳhaak
kundani rang ka main kushta hun
kyun na ho meri zafrani KHak