Sher of Pooja Bhatiya
vo jo pahlā thā apnā ishq vahī
āḳhirī vārdāt thī dil kī
wo jo pahla tha apna ishq wahi
aaKHiri wardat thi dil ki
ek isī baat kā thā Dar us ko
mujh meñ inkār kī bhī himmat thī
ek isi baat ka tha Dar us ko
mujh mein inkar ki bhi himmat thi
vo kis kā hai is se kyā lenā denā
ba.az dafa kaafī hai us kā honā bhī
wo kis ka hai is se kya lena dena
baz dafa kafi hai us ka hona bhi
chalte chalte aksar ruk kar sochā bhī
kyā manzil par yaad rahegā rastā bhī
chalte chalte aksar ruk kar socha bhi
kya manzil par yaad rahega rasta bhi
qatl karnā to is ko Thiik nahīñ
ishq kī maut hādse meñ ho
qatl karna to is ko Thik nahin
ishq ki maut hadse mein ho
us kī bechainī baḌhānā chāhtī huuñ
suniye kah kar chup lagānā chāhtī huuñ
us ki bechaini baDhana chahti hun
suniye kah kar chup lagana chahti hun