Sher of Popular Meeruthi
ḳhud tiis kā hai aur dulhan saaTh baras kī
girtī huī dīvār ke saa.e meñ khaḌā hai
KHud tis ka hai aur dulhan saTh baras ki
girti hui diwar ke sae mein khaDa hai
be-vaqūfī ke anokhe kārnāme dekh kar
achchhe-ḳhāse leaderoñ ko bhī gadhā kahnā paḌā
be-waqufi ke anokhe karname dekh kar
achchhe-KHase leaderon ko bhi gadha kahna paDa
apnī shohrat kī alag raah nikālī ham ne
kisī dīvāñ se ġhazal koī churā lī ham ne
apni shohrat ki alag rah nikali hum ne
kisi diwan se ghazal koi chura li hum ne
tumhīñ batāo gale-bāz shā.eroñ ke baġhair
agar huā bhī to kaisā mushā.era hogā
tumhin batao gale-baz shaeron ke baghair
agar hua bhi to kaisa mushaera hoga
kulliyāt-e-'mīr'-o-'ġhālib' se ġhazal laayā thā maiñ
aaj vo bhī chhap na paa.ī aap ke aḳhbār meñ!
kulliyat-e-'mir'-o-'ghaalib' se ghazal laya tha main
aaj wo bhi chhap na pai aap ke aKHbar mein!
netā kā da.avā sun ke maiñ ye sochne lagā
qurbānī kankaTe kī to yaaro harām hai
neta ka dawa sun ke main ye sochne laga
qurbani kankaTe ki to yaro haram hai
jo bad-nasībī se kal ko mulāzmat na rahī
shikam kā apne sahārā mushā.era hogā
jo bad-nasibi se kal ko mulazmat na rahi
shikam ka apne sahaara mushaera hoga
merā sasurāl meñ koī bhī taraf-dār nahīñ
un ke hoñToñ pe bhī taale haiñ ḳhudā ḳhair kare
mera sasural mein koi bhi taraf-dar nahin
un ke honTon pe bhi tale hain KHuda KHair kare
beTī ke saath maañ mujhe taslīm hai magar
lekin kabhī kabhī ise tanhā bhī chhoḌ de
beTi ke sath man mujhe taslim hai magar
lekin kabhi kabhi ise tanha bhi chhoD de
naaj jitnā thā vo sab mukhiyā kī bhaiñseñ char ga.iiñ
aur kallū-rām kā khaliyān aadhā rah gayā
naj jitna tha wo sab mukhiya ki bhainsen char gain
aur kallu-ram ka khaliyan aadha rah gaya
terā aadhā kaam ḳhud insān hī karne lage
kaam terā ab to ai shaitān aadhā rah gayā
tera aadha kaam KHud insan hi karne lage
kaam tera ab to ai shaitan aadha rah gaya
chhin ga.ī kursī to leader par uThā liiñ kursiyāñ
jin pe takiya thā vahī patte havā dene lage
chhin gai kursi to leader par uTha lin kursiyan
jin pe takiya tha wahi patte hawa dene lage
mujhe note jab milā biis kā to samajh meñ ḳhud hī ye aa gayā
jahāñ do hazār kī baat thī vo mushā.era koī aur hai
mujhe note jab mila bis ka to samajh mein KHud hi ye aa gaya
jahan do hazar ki baat thi wo mushaera koi aur hai
rahzanoñ se mat Daro tum pārsāoñ se bachcho
leadarān-e-qaum kī zālim adāoñ se Daro
rahzanon se mat Daro tum parsaon se bachcho
leadaran-e-qaum ki zalim adaon se Daro
bolīñ begam maut ke panje meñ shauhar aa.egā
ab dupaTTe kā nahīñ Topī kā number aa.egā
bolin begam maut ke panje mein shauhar aaega
ab dupaTTe ka nahin Topi ka number aaega
ye sun ke bol uThā us se be-zabāñ shauhar
sukūn baḳhshegā tum ko ab āTHvāñ shauhar
ye sun ke bol uTha us se be-zaban shauhar
sukun baKHshega tum ko ab aaTHwan shauhar
dastaḳhat to tumheñ bhī aate haiñ
abbā tum bhī vazīr ban jaate
dastaKHat to tumhein bhi aate hain
abba tum bhi wazir ban jate
har varaq par hai chhapī ġhair-mohazzab tasvīr
kitne behūda risāle haiñ ḳhudā ḳhair kare
har waraq par hai chhapi ghair-mohazzab taswir
kitne behuda risale hain KHuda KHair kare
is bharose pe election meñ khaḌā huuñ maiñ bhī
ik nujūmī ne kahā hai ki ye saal achchhā hai
is bharose pe election mein khaDa hun main bhi
ek nujumi ne kaha hai ki ye sal achchha hai
mire zauq-e-adab ko der meñ ārām aa.egā
kahīñ pichhle pahar tak shā.era kā naam aa.egā
mere zauq-e-adab ko der mein aaram aaega
kahin pichhle pahar tak shaera ka nam aaega
beTe ke muñh pe de ke chapat baap ne kahā
phir fail ho gayā hai minister banegā tū
beTe ke munh pe de ke chapat bap ne kaha
phir fail ho gaya hai minister banega tu
-
Tag : Tanz-o-Mizah
tum ko is baat kā ehsās koī hai ki nahīñ
dil na paḌ jaa.e kisī aur ke chakkar meñ kahīñ
tum ko is baat ka ehsas koi hai ki nahin
dil na paD jae kisi aur ke chakkar mein kahin
murda bagulā bhī fazāoñ meñ uḌā kartā hai
pahlī baar aaj ye dekhī hai karāmat maiñ ne
murda bagula bhi fazaon mein uDa karta hai
pahli bar aaj ye dekhi hai karamat main ne
merī begam ne kabhī ye nahīñ sochā āḳhir
''kis ke ghar jā.egā sailāb-e-balā mere ba.ad''
meri begam ne kabhi ye nahin socha aaKHir
kis ke ghar jaega sailab-e-bala mere baad
yakāyak loud-speaker se gūñjā film kā naġhma
vatan kī aabrū ḳhatre meñ hai hushiyār ho jaao
yakayak loud-speaker se gunja film ka naghma
watan ki aabru KHatre mein hai hushiyar ho jao
apne ġhunDoñ kī taraf dekhā aur us ne yuuñ kahā
jis diye meñ jaan hogī vo diyā rah jā.egā
apne ghunDon ki taraf dekha aur us ne yun kaha
jis diye mein jaan hogi wo diya rah jaega
jald se jald apne ghar meñ naukrī de do mujhe
varna be-qīmat kā naukar DhūñDtī rah jāogī
jald se jald apne ghar mein naukri de do mujhe
warna be-qimat ka naukar DhunDti rah jaogi