Sher of Qasri Kanpuri
koī manzil ke qarīb aa ke bhaTak jaatā hai
koī manzil pe pahuñchtā hai bhaTak jaane se
koi manzil ke qarib aa ke bhaTak jata hai
koi manzil pe pahunchta hai bhaTak jaane se
ġhalat hai aap kā andāza-e-nazar 'qasrī'
burā zarūr huuñ par is qadar burā bhī nahīñ
ghalat hai aap ka andaza-e-nazar 'qasri'
bura zarur hun par is qadar bura bhi nahin
jab se ik shaḳhs mere dhyān meñ hai
kitnī ḳhushbū mire makān meñ hai
jab se ek shaKHs mere dhyan mein hai
kitni KHushbu mere makan mein hai
ye kaun shaḳhs hai is ko zarā bulāo to
ye mere haal pe kyuuñ muskurā ke guzrā hai
ye kaun shaKHs hai is ko zara bulao to
ye mere haal pe kyun muskura ke guzra hai
apne kāñdhoñ se uThā.e hue hālāt kā bojh
rāste chīḳh paḌe log jidhar se guzre
apne kandhon se uThae hue haalat ka bojh
raste chiKH paDe log jidhar se guzre
aap haq-goī kī jo chāheñ sazā deñ mujh ko
aap ḳhud jaise haiñ vaisā hī kahā hai maiñ ne
aap haq-goi ki jo chahen saza den mujh ko
aap KHud jaise hain waisa hi kaha hai main ne
yahī hai rasm-e-zamāna to phir gila kaisā
koī jalā.e charāġhoñ ko aur bujhā.e koī
yahi hai rasm-e-zamana to phir gila kaisa
koi jalae charaghon ko aur bujhae koi