Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
Quli Qutub Shah's Photo'

Quli Qutub Shah

1566 - 1611 | Hyderabad, India

First Urdu poet to have compiled and published a Divan. King of Qutub Shahi dynasty of South India. Founder of Hyderabad city

First Urdu poet to have compiled and published a Divan. King of Qutub Shahi dynasty of South India. Founder of Hyderabad city

Sher of Quli Qutub Shah

piyā baaj pyālā piyā jaa.e

piyā baaj yak-til jiyā jaa.e

piya baj pyala piya jae na

piya baj yak-til jiya jae na

nabī sadqe kutub shah dil meñ kiitā

mohabbat haidar-e-karrār ehdās

nabi sadqe kutub shah dil mein kita

mohabbat haidar-e-karrar ehdas

piyā yaad suuñ piitā huuñ maiñ mai

hamārā haal kyā jāneñge sukh-zād

piya ki yaad sun pita hun main mai

hamara haal kya jaanenge sukh-zad

'qutub' shah na de muj divāne ko pand

divāne kuuñ kuch pand diyā jaa.e

'qutub' shah na de muj diwane ko pand

diwane kun kuch pand diya jae na

mohabbat sultānī hai sab jagat meñ

ki is sam nahīñ koī gyānī-o-dānī

mohabbat ki sultani hai sab jagat mein

ki is sam nahin koi gyani-o-dani

maiñ na jānūñ ka.aba-o-but-ḳhāna-o-mai-ḳhāna kuuñ

dekhtā huuñ har kahāñ dasta hai tuj mukh safā

main na jaanun kaba-o-but-KHana-o-mai-KHana kun

dekhta hun har kahan dasta hai tuj mukh ka safa

kareñ tāqat gañvā kar ābidāñ mai-ḳhāna kuuñ sajda

kyā zunnār meñ tasbīh dekhan rū-e-zebārā

karen taqat ganwa kar aabidan mai-KHana kun sajda

kya zunnar mein tasbih dekhan ru-e-zebara

Recitation

Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

Get Tickets
Speak Now