Sher of Raaz Yazdani
sazā ke jhelne vaale ye sochnā hai gunāh
koī qusūr bhī tujh se kabhī huā ki nahīñ
saza ke jhelne wale ye sochna hai gunah
koi qusur bhi tujh se kabhi hua ki nahin
Thahar ke talvoñ se kāñTe nikālne vaale
ye hosh hai to junūñ kāmyāb kyā hogā
Thahar ke talwon se kanTe nikalne wale
ye hosh hai to junun kaamyab kya hoga
agar gunāh ke qisse bhī kah diye tujh se
gunāhgār ko yārab savāb kyā hogā
agar gunah ke qisse bhi kah diye tujh se
gunahgar ko yarab sawab kya hoga
vo sāmne sar-e-manzil charāġh jalte haiñ
javāb paañv na dete to maiñ kahāñ hotā
wo samne sar-e-manzil charagh jalte hain
jawab panw na dete to main kahan hota