Sher of Rabia Sultana Nashad
vaqt ik zarb lagā.e to ġhazal hotī hai
dard agar dil meñ samā.e to ġhazal hotī hai
waqt ek zarb lagae to ghazal hoti hai
dard agar dil mein samae to ghazal hoti hai
tirī duniyā meñ rah kar kyā kareñge
ḳhudāyā umr bhar royā kareñge
teri duniya mein rah kar kya karenge
KHudaya umr bhar roya karenge
mire liye shab-e-mahtāb ik qayāmat hai
tum aao chāñd sitāroñ meñ dil nahīñ lagtā
mere liye shab-e-mahtab ek qayamat hai
tum aao chand sitaron mein dil nahin lagta
dekhī thiiñ kabhī maiñ ne bhī barkhā kī bahāreñ
ab TuuTe hue dil ko ḳhudārā na dukhāo
dekhi thin kabhi main ne bhi barkha ki bahaaren
ab TuTe hue dil ko KHudara na dukhao
'nāshād' na koī naġhma hai ye dard bharā ik naala hai
kyā samjhe koī dard-e-jigar jab choT na dil par khaa.ī ho
'nashad' na koi naghma hai ye dard bhara ek nala hai
kya samjhe koi dard-e-jigar jab choT na dil par khai ho