Sher of Rahmatullah khan
ik sirā uljhī huī Dor kā haath aayā hai
dūsre tak bhī pahuñch jā.ūñgā suljhāte hue
ek sira uljhi hui Dor ka hath aaya hai
dusre tak bhi pahunch jaunga suljhate hue
aañkh dekhe binā nahīñ rahtī
hoñT to ḳhair sī liye ham ne
aankh dekhe bina nahin rahti
honT to KHair si liye hum ne
adāvatoñ ke liye mere paas vaqt kahāñ
mohabbatoñ ke liye hī ye zindagī kam hai
adawaton ke liye mere pas waqt kahan
mohabbaton ke liye hi ye zindagi kam hai
hazāroñ baar terā ḳhat paḌhā hai
ki in lafzoñ ke pīchhe kyā likhā hai
hazaron bar tera KHat paDha hai
ki in lafzon ke pichhe kya likha hai