Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
Rakesh Toofan's Photo'

Rakesh Toofan

Lucknow, India

Rakesh Toofan

Ghazal 14

Sher-o-Shayari 6

ajiib baat hai us raat sahar na huī

ka.ī charāg jale raushnī magar na huī

ajib baat hai us raat ki sahar na hui

kai charag jale raushni magar na hui

  • Share this

jahāñ pe jhuuT hai nafrat hai be-īmānī hai

vahīñ pe zindagī-bhar zindagī bitānī hai

jahan pe jhuT hai nafrat hai be-imani hai

wahin pe zindagi-bhar zindagi bitani hai

  • Share this

maiñ shajar dekh ke Dar jaatā huuñ

is qadar dhuup aadat hai mujhe

main shajar dekh ke Dar jata hun

is qadar dhup ki aadat hai mujhe

  • Share this

zaḳhm chup-chāp rahegā to rafū bolegā

tum mujhe qatl bhī kar do to lahū bolegā

zaKHm chup-chap rahega to rafu bolega

tum mujhe qatl bhi kar do to lahu bolega

  • Share this

lauTā jab chāñd bhī sūraj bhī ḳhasārā kar ke

ham ne chamkā diyā āñgan ko sitārā kar ke

lauTa jab chand bhi suraj bhi KHasara kar ke

hum ne chamka diya aangan ko sitara kar ke

  • Share this

More Poets From "Lucknow"

Recitation

Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

Register for free
Speak Now