Sher of Raqim Lakhnavi
kabhī un ko miltī nahīñ koī manzil
badalte haiñ jo har qadam par irāde
kabhi un ko milti nahin koi manzil
badalte hain jo har qadam par irade
un ke liye uThā.īñ tabassum kī zahmateñ
lenā paḌā ḳhushī kā sahārā kabhī kabhī
un ke liye uThain tabassum ki zahmaten
lena paDa KHushi ka sahaara kabhi kabhi
ai chashm-e-iltifāt ke maare hue sambhal
ye husn-e-ittifāq hai husn-e-nazar nahīñ
ai chashm-e-iltifat ke mare hue sambhal
ye husn-e-ittifaq hai husn-e-nazar nahin
dam bhar agar nasīb ho fursat to poñchh lo
peshāniyoñ pe gard-e-safar hai musāfiro
dam bhar agar nasib ho fursat to ponchh lo
peshaniyon pe gard-e-safar hai musafiro
sarf-e-sujūd kar ke jabīn-e-nazar ko maiñ
me.arāj de rahā huuñ tire sañg-e-dar ko maiñ
sarf-e-sujud kar ke jabin-e-nazar ko main
mearaj de raha hun tere sang-e-dar ko main