Sher of Rasikh Irfani
kitnā nādim huuñ kisī shaḳhs se shikva kar ke
mujh se dekhā na gayā us kā pashemāñ honā
kitna nadim hun kisi shaKHs se shikwa kar ke
mujh se dekha na gaya us ka pasheman hona
aTā hai shahar bārūdī dhueñ se
saḌak par chand bachche ro rahe haiñ
aTa hai shahar barudi dhuen se
saDak par chand bachche ro rahe hain
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
vo ahl-e-kahaf the jin ko ziyā milī āḳhir
mirā ye daur ki ab tak añdherā ġhaar meñ hai
wo ahl-e-kahaf the jin ko ziya mili aaKHir
mera ye daur ki ab tak andhera ghaar mein hai