Sher of Raunaq Naeem
in daraḳhtoñ se bhī naata joḌiye
jin daraḳhtoñ kā koī saaya nahīñ
in daraKHton se bhi nata joDiye
jin daraKHton ka koi saya nahin
galī galī meñ takalluf kī dhuul hotī hai
ab apnā shahar bhī lagtā hai ajnabī kī tarah
gali gali mein takalluf ki dhul hoti hai
ab apna shahar bhi lagta hai ajnabi ki tarah
hālāt-e-ḳhūñ-āshām se ġhāfil nahīñ lekin
ai zulm tire haath pe bai.at nahīñ karte
haalat-e-KHun-asham se ghafil nahin lekin
ai zulm tere hath pe baiat nahin karte
saikḌoñ pul bane fāsle bhī miTe
aadmī aadmī se judā hī rahā
saikDon pul bane fasle bhi miTe
aadmi aadmi se juda hi raha
behtar hai ab duur raho tum Tesū ke in phūloñ se
shoḳh bahut hai in kī surḳhī ā.īna dikhlā.e to
behtar hai ab dur raho tum Tesu ke in phulon se
shoKH bahut hai in ki surKHi aaina dikhlae to