Sher of Riasath Ali Asrar
kyā us se bichhaḌte ki mile hī na the jis se
ik-tarfa mohabbat ke bhī haiñ zāviye kyā kyā
kya us se bichhaDte ki mile hi na the jis se
ik-tarfa mohabbat ke bhi hain zawiye kya kya
ham na aa.e junūñ ke bas meñ kabhī
ye garebāñ ḳhirad ne chaak kiyā
hum na aae junun ke bas mein kabhi
ye gareban KHirad ne chaak kiya
kaun ā.īna dekhtā hai miyāñ
sab ko apnā hī 'aks pyārā hai
kaun aaina dekhta hai miyan
sab ko apna hi 'aks pyara hai
saañs khīñcheñ to misra’-e-ūlā
saañs chheḌeñ to misra'-e-sānī
sans khinchen to misra’-e-ula
sans chheDen to misra'-e-sani
himmat kahāñ se lā.ūñ ki tā'bīr kar sakūñ
kal raat ḳhvāb dekh rahā thā ki ḳhush huuñ maiñ
himmat kahan se laun ki ta'bir kar sakun
kal raat KHwab dekh raha tha ki KHush hun main
apnī zanjīr-e-pā ko dekhtā huuñ
us kī pāzeb yaad aatī hai
apni zanjir-e-pa ko dekhta hun
us ki pazeb yaad aati hai
jaane ḳhvāboñ kā kyā huā hogā
ek muddat se ham nahīñ so.e
jaane KHwabon ka kya hua hoga
ek muddat se hum nahin soe
kab huuñ āzād is muhīt se maiñ
sochtā huuñ ki sochtā kyoñ huuñ
kab hun aazad is muhit se main
sochta hun ki sochta kyon hun
murjhā.e hue gul par ik buuñd hai shabnam kī
tā'bīr kī palkoñ par ik ḳhvāb kā aañsū hai
murjhae hue gul par ek bund hai shabnam ki
ta'bir ki palkon par ek KHwab ka aansu hai
ek dhaḌkā sā lagā rahtā hai ḳhush hone par
ye bahār ab ke na tamhīd-e-ḳhizāñ ho jaa.e
ek dhaDka sa laga rahta hai KHush hone par
ye bahaar ab ke na tamhid-e-KHizan ho jae
jalā charāġh-e-'adam to 'ajab ujālā huā
rāh-e-vujūd kī manzil dikhā.ī dene lagī
jala charagh-e-'adam to 'ajab ujala hua
rah-e-wujud ki manzil dikhai dene lagi
khiñchī huī thī koī aur naam kī rekhā
tumhāre haath pe taqdīr ne lagā.ī hinā
khinchi hui thi koi aur nam ki rekha
tumhaare hath pe taqdir ne lagai hina
tilismī chashm ne terī kiyā mujhe manzūr
aur ik gumān meñ Daalā ke koī ḳhvāb huuñ maiñ
tilismi chashm ne teri kiya mujhe manzur
aur ek guman mein Dala ke koi KHwab hun main
be-karāñ dasht-e-tasavvur meñ bhaTakne ke nuqūsh
mauj-dar-mauj sarāboñ se ubharte hoñge
be-karan dasht-e-tasawwur mein bhaTakne ke nuqush
mauj-dar-mauj sarabon se ubharte honge
ham ko miTTī ke gharoñdoñ se 'ajab nisbat hai
apnā ābā.ī makāñ girte hue dekhā thā
hum ko miTTi ke gharondon se 'ajab nisbat hai
apna aabai makan girte hue dekha tha
kis tarah yaad kar rakhī hai ye baat
bhuul jā.eñge ek din 'asrār'
kis tarah yaad kar rakhi hai ye baat
bhul jaenge ek din 'asrar'
she'r-goī hai shaġhl-e-'aql miyāñ
dil kā goyā koī kalām nahīñ
she'r-goi hai shaghl-e-'aql miyan
dil ka goya koi kalam nahin
'aql kuchh kaam kī na thī 'asrār'
'ishq ne is ko Thiik Thaak kiyā
'aql kuchh kaam ki na thi 'asrar'
'ishq ne is ko Thik Thak kiya
vo ek harf jo us ke laboñ se ho guzrā
us ek harf meñ saarā suḳhan samāyā thā
wo ek harf jo us ke labon se ho guzra
us ek harf mein sara suKHan samaya tha
jalā hai dasht-e-tasavvur kahāñ kahāñ Tapkā
tumhārī chashm-e-ġhazālāñ se buuñd buuñd aañsū
jala hai dasht-e-tasawwur kahan kahan Tapka
tumhaari chashm-e-ghazalan se bund bund aansu
mahv haiñ hazrat-e-ḳhayāl apne
hāl-e-dil meñ murāqiba bāñdhe
mahw hain hazrat-e-KHayal apne
haal-e-dil mein muraqiba bandhe
aap ham se judā nahīñ hote
aap par iḳhtiyār hai koī
aap hum se juda nahin hote
aap par iKHtiyar hai koi
bāzār-e-lafz meñ liye kaasa ḳhayāl kā
phirte haiñ ham saḳhāvat-e-mā’nī ke shauq meñ
bazar-e-lafz mein liye kasa KHayal ka
phirte hain hum saKHawat-e-ma’ni ke shauq mein
maiñ tujh ko dast-e-haqīqat se chhū ke dekhūñgā
tū ek paikar-e-ḳhvāb-o-ḳhayāl hai jānāñ
main tujh ko dast-e-haqiqat se chhu ke dekhunga
tu ek paikar-e-KHwab-o-KHayal hai jaanan
chāñdnī surḳh sī dikhā.ī de
ye moharram kā chāñd hai 'asrār'
chandni surKH si dikhai de
ye moharram ka chand hai 'asrar'
uThtī chalī ga.ī hai koī aur hī sadā
ik āh-e-sard thī ki dabī ki dabī rahī
uThti chali gai hai koi aur hi sada
ek aah-e-sard thi ki dabi ki dabi rahi
hai parda-e-falak meñ ye kaisā siyah shigāf
dekho to koī jhāñk rahā hai zamīn kī or
hai parda-e-falak mein ye kaisa siyah shigaf
dekho to koi jhank raha hai zamin ki or