Sher of Saeedullah Qureshi
roz ke roz badaltā huuñ maiñ ḳhud apnā javāz
zindagānī maiñ tujhe hal nahīñ hone detā
roz ke roz badalta hun main KHud apna jawaz
zindagani main tujhe hal nahin hone deta
kabhī to mimbar-o-mehrāb tak bhī aa.egā
ye qahr qahr ke asbāb tak bhī aa.egā
kabhi to mimbar-o-mehrab tak bhi aaega
ye qahr qahr ke asbab tak bhi aaega
jab tak ki tū ġhazal meñ utārī na jā.egī
bistar pe aaj raat guzārī na jā.egī
jab tak ki tu ghazal mein utari na jaegi
bistar pe aaj raat guzari na jaegi
maiñ irtiqā.ī manāzir kī ik nishānī huuñ
mujhe sukūn se jiine do saañs lene do
main irtiqai manazir ki ek nishani hun
mujhe sukun se jine do sans lene do