Sher of Sahir Siyalkoti
hotī hai dūsroñ ko hamesha ye nāgavār
apne sivā kisī ko nasīhat na kījiye
hoti hai dusron ko hamesha ye nagawar
apne siwa kisi ko nasihat na kijiye
guloñ ko toḌte haiñ sūñghte haiñ pheñk dete haiñ
ziyāda bhī numā.ish husn kī achchhī nahīñ hotī
gulon ko toDte hain sunghte hain phenk dete hain
ziyaada bhi numaish husn ki achchhi nahin hoti
sambhal kar paañv rakhnā vādī-e-ishq-o-mohabbat meñ
yahāñ jo sair ko aatā hai bach kar kam nikaltā hai
sambhal kar panw rakhna wadi-e-ishq-o-mohabbat mein
yahan jo sair ko aata hai bach kar kam nikalta hai
ye kyūñkar maan leñ ulfat hameñ karnī nahīñ aatī
kiyā hai kaam hī kyā aur ulfat ke sivā ham ne
ye kyunkar man len ulfat hamein karni nahin aati
kiya hai kaam hi kya aur ulfat ke siwa hum ne
ai sham.a ahl-e-bazm to baiThe hī rah ga.e
kahne kī thī jo baat vo parvāna kah gayā
ai shama ahl-e-bazm to baiThe hi rah gae
kahne ki thi jo baat wo parwana kah gaya
baḌhī hai ḳhāna-e-dil meñ kuchh aur tārīkī
charāġh-e-ishq jalāyā thā raushnī ke liye
baDhi hai KHana-e-dil mein kuchh aur tariki
charagh-e-ishq jalaya tha raushni ke liye