aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair
jis ke hote hue hote the zamāne mere
1991 | Delhi, India
aap ke haath meñ hai mujh se ta'alluq kā remote
aap chāheñ to ye channel bhī badal sakte haiñ
aap ke hath mein hai mujh se ta'alluq ka remote
aap chahen to ye channel bhi badal sakte hain
'ajīb Dhang se mujh ko milī hai āzādī
parinda piñjre meñ piñjra havā meñ rakkhā gayā
'ajib Dhang se mujh ko mili hai aazadi
parinda pinjre mein pinjra hawa mein rakkha gaya
hamāre khel kī guḌiyā tumhī ho
tumhāre khel kā guDDā nayā hai
hamare khel ki guDiya tumhi ho
tumhaare khel ka guDDa naya hai
ḳhuun se mazlūm ke ho to ga.e raushan charāġh
raushnī aisī huī phir shahr andhā ho gayā
KHun se mazlum ke ho to gae raushan charagh
raushni aisi hui phir shahr andha ho gaya
vo hijr-zāde shab-e-vasl ye bhī bhuul ga.e
charāġh un ko jalāne nahīñ bujhāne the
wo hijr-zade shab-e-wasl ye bhi bhul gae
charagh un ko jalane nahin bujhane the
You have exhausted 5 free content pages per year. Register and enjoy UNLIMITED access to the whole universe of Urdu Poetry, Rare Books, Language Learning, Sufi Mysticism, and more.
Devoted to the preservation & promotion of Urdu
A Trilingual Treasure of Urdu Words
Online Treasure of Sufi and Sant Poetry
World of Hindi language and literature
The best way to learn Urdu online
Best of Urdu & Hindi Books