Sher of Santokh Rai Betab
na rahe bāġh-e-jahāñ meñ kabhī ārām se ham
phañs ga.e qaid-e-qafas meñ jo chhuTe daam se ham
na rahe bagh-e-jahan mein kabhi aaram se hum
phans gae qaid-e-qafas mein jo chhuTe dam se hum
chashm-e-bad-dūr ajab ḳhush-qad-o-qāmat hogā
abhī fitna hai koī din meñ qayāmat hogā
chashm-e-bad-dur ajab KHush-qad-o-qamat hoga
abhi fitna hai koi din mein qayamat hoga
ḳhudā kisī ko giraftār zulf kā na kare
nasīb meñ kisī kāfir ke ye balā na kare
KHuda kisi ko giraftar zulf ka na kare
nasib mein kisi kafir ke ye bala na kare
aah dī siine meñ ātish kaun sī be-dard ne
dil se le kar muñh talak umDā huā ik dard hai
aah di sine mein aatish kaun si be-dard ne
dil se le kar munh talak umDa hua ek dard hai
apne maz.hab meñ hai ik shart tarīq-e-iḳhlās
kuchh ġharaz kufr se rakhte haiñ na islām se ham
apne mazhab mein hai ek shart tariq-e-iKHlas
kuchh gharaz kufr se rakhte hain na islam se hum
mohabbat kī bhī kyā hotīñ nahīñ ai ham-nashīñ rāheñ
ki ḳhūbāñ yuuñ hameñ dukh deñ, ham un ko is tarah chāheñ
mohabbat ki bhi kya hotin nahin ai ham-nashin rahen
ki KHuban yun hamein dukh den, hum un ko is tarah chahen
go ki tujh lutf ke qābil dil-e-ranjūr nahīñ
par tirī banda-navāzī se ye kuchh duur nahīñ
go ki tujh lutf ke qabil dil-e-ranjur nahin
par teri banda-nawazi se ye kuchh dur nahin