Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
Saqi Amrohvi's Photo'

Saqi Amrohvi

1925 - 2005 | Karachi, Pakistan

A renowned poet from Pakistan

A renowned poet from Pakistan

Sher of Saqi Amrohvi

nahīñ to tirā ḳhayāl sahī

koī to ham-ḳhayāl hai merā

tu nahin to tera KHayal sahi

koi to ham-KHayal hai mera

madrasa merā merī zaat meñ hai

ḳhud moallim huuñ ḳhud kitāb huuñ maiñ

madrasa mera meri zat mein hai

KHud moallim hun KHud kitab hun main

zindagī bhar mujhe is baat hasrat rahī

din guzārūñ to koī raat suhānī aa.e

zindagi bhar mujhe is baat ki hasrat hi rahi

din guzarun to koi raat suhani aae

dar-ba-dar hone se pahle kabhī sochā bhī na thā

ghar mujhe raas na aayā to kidhar jā.ūñgā

dar-ba-dar hone se pahle kabhi socha bhi na tha

ghar mujhe ras na aaya to kidhar jaunga

mujh ko kyā kyā na dukh mile 'sāqī'

mere apnoñ mehrbānī se

mujh ko kya kya na dukh mile 'saqi'

mere apnon ki mehrbani se

meñ ab tak din ke hañgāmoñ meñ gum thā

magar ab shaam hotī rahī hai

mein ab tak din ke hangamon mein gum tha

magar ab sham hoti ja rahi hai

ḳhvāb thā shabāb thā merā

do savāloñ ik javāb huuñ maiñ

KHwab tha ya shabab tha mera

do sawalon ka ek jawab hun main

kitne ġham nikharne lagte haiñ

ek lamhe shādmānī se

kitne hi gham nikharne lagte hain

ek lamhe ki shadmani se

Recitation

Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

Register for free
Speak Now