Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
Sarfraz Zahid's Photo'

Sarfraz Zahid

1977 | Islamabad, Pakistan

Sarfraz Zahid

Ghazal 19

Sher-o-Shayari 29

saal guzar jaatā hai saarā

aur calender rah jaatā hai

sal guzar jata hai sara

aur calender rah jata hai

khiḌkī se jhāñk kar kisī ne

manzar ko vāqi.a banāyā

khiDki se jhank kar kisi ne

manzar ko waqia banaya

  • Share this

ḳharīdāroñ meñ bhagdaḌ mach ga.ī hai

ham apne daam batlāne lage haiñ

KHaridaron mein bhagdaD mach gai hai

hum apne dam batlane lage hain

  • Share this

mohabbat aam ik vāqi.a thā

hamāre saath pesh aane se pahle

mohabbat aam sa ek waqia tha

hamare sath pesh aane se pahle

gale lag kar ham us k ḳhuub ro.e

ḳhushī ik din milī thī raah chalte

gale lag kar hum us k KHub roe

KHushi ek din mili thi rah chalte

  • Share this

BOOKS 1

 

More Poets From "Islamabad"

Recitation

Speak Now