Sher of Shahbaz Raja
vo sar-e-mahfil baḌhāte jā rahe haiñ guftugū
maiñ magar katrā rahā huuñ baat kī tafsīl se
wo sar-e-mahfil baDhate ja rahe hain guftugu
main magar katra raha hun baat ki tafsil se
kahīñ bhī ḳhud ko kabhī be-nishāñ na hone diyā
safar kaThin thā magar rā.egāñ na hone diyā
kahin bhi KHud ko kabhi be-nishan na hone diya
safar kaThin tha magar raegan na hone diya
āsmāñ-dar-āsmāñ asrār mujh par khul ga.e
maiñ uḌāyā jā rahā huuñ shahpar-e-jibrīl se
aasman-dar-asman asrar mujh par khul gae
main uDaya ja raha hun shahpar-e-jibril se
gavārā kaise kareñ us kī tamkanat 'shahbāz'
ki kuchh to ham bhī havā apne sar meñ rakhte haiñ
gawara kaise karen us ki tamkanat 'shahbaz'
ki kuchh to hum bhi hawa apne sar mein rakhte hain
hāsil-e-kun bhī nigāhoñ kā ishāra to nahīñ
ye jo dil mujh meñ dhaḌaktā hai tumhārā to nahīñ
hasil-e-kun bhi nigahon ka ishaara to nahin
ye jo dil mujh mein dhaDakta hai tumhaara to nahin