Sher of Shahid Mahuli
rañg be-rañg huā Duub ga.iiñ āvāzeñ
ret hī ret hai ab laash uThā.ī jaa.e
rang be-rang hua Dub gain aawazen
ret hi ret hai ab lash uThai jae
phailā huā hai jism meñ tanhā.iyoñ kā zahr
rag rag meñ jaise saarī udāsī utar ga.ī
phaila hua hai jism mein tanhaiyon ka zahr
rag rag mein jaise sari udasi utar gai
ḳhuuñ kā sailāb thā jo sar se abhī guzrā hai
bām-o-dar ab bhī sisakte haiñ magar ghar chup haiñ
KHun ka sailab tha jo sar se abhi guzra hai
baam-o-dar ab bhi sisakte hain magar ghar chup hain
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download