Sher of Shahnawaz Farooqi
judā.ī se ziyāda jān-levā
mohabbat meñ mohabbat kī kamī hai
judai se ziyaada jaan-lewa
mohabbat mein mohabbat ki kami hai
vo mire bas ko kaise samjhegā
jo mirī bebasī ko samjhā nahīñ
wo mere bas ko kaise samjhega
jo meri bebasi ko samjha nahin
ye jahāñ ek tamāshā hai sabhī kahte haiñ
tum na hote to ise ham bhī tamāshā kahte
ye jahan ek tamasha hai sabhi kahte hain
tum na hote to ise hum bhi tamasha kahte
kabhī ye ġham thā ki samjhā nahīñ koī ham ko
aur ab ye Dar ki kisī ne samajh liyā hī na ho
kabhi ye gham tha ki samjha nahin koi hum ko
aur ab ye Dar ki kisi ne samajh liya hi na ho
itne Duube hue the jiine meñ
muddatoñ zindagī ko samjhā nahīñ
itne Dube hue the jine mein
muddaton zindagi ko samjha nahin
phuul ko chuum ke gulzār banā saktī hai
aisī ik baat hai hoñToñ kī pazīrā.ī meñ
phul ko chum ke gulzar bana sakti hai
aisi ek baat hai honTon ki pazirai mein
aise bhaTak rahā hai ḳharābe meñ aadmī
jaise use kabhī bhī hidāyat nahīñ milī
aise bhaTak raha hai KHarabe mein aadmi
jaise use kabhi bhi hidayat nahin mili
āġhāz hī nahīñ thā so anjām bhī nahīñ
vo gum-shuda hoñ jis kā koī naam bhī nahīñ
aaghaz hi nahin tha so anjam bhi nahin
wo gum-shuda hon jis ka koi nam bhi nahin
aisā chehra ki aañkh bol uThī
mo.ajiza aa.ine ke ba.ad kā hai
aisa chehra ki aankh bol uThi
moajiza aaine ke baad ka hai
kitāb-e-ishq meñ saa.e kā matlab
dar-o-dīvār kā saaya nahīñ hai
kitab-e-ishq mein sae ka matlab
dar-o-diwar ka saya nahin hai
hai mas.ale kā hal ye usī dar pe jā.ūñ maiñ
jis dar pe ab maiñ jaane ke qābil nahīñ rahā
hai masale ka hal ye usi dar pe jaun main
jis dar pe ab main jaane ke qabil nahin raha
husn aisā thā ki har ik aa.inā kam paḌ gayā
aa.ina kyā umr bhar kā dekhnā kam paḌ gayā
husn aisa tha ki har ek aaina kam paD gaya
aaina kya umr bhar ka dekhna kam paD gaya
us ko sajda na kaho
ye to aadat hai miyāñ
us ko sajda na kaho
ye to aadat hai miyan
ik fikr lagī rahtī hai duniyā kī hamesha
har chand ise ham ne banāyā bhī nahīñ hai
ek fikr lagi rahti hai duniya ki hamesha
har chand ise hum ne banaya bhi nahin hai
dil vāloñ se sunte the kabhī qissa-e-duniyā
ab dil kī kahānī bhī sunāte haiñ adākār
dil walon se sunte the kabhi qissa-e-duniya
ab dil ki kahani bhi sunate hain adakar
phir aadmī havas se bhī aage nikal gayā
phir aadmī ke kaam na aayā gunāh tak
phir aadmi hawas se bhi aage nikal gaya
phir aadmi ke kaam na aaya gunah tak
khultā hai har ik shaḳhs ke qāmat ke barābar
ye dil hai koī kaaTh kā darvāza nahīñ hai
khulta hai har ek shaKHs ke qamat ke barabar
ye dil hai koi kaTh ka darwaza nahin hai
ajab hī aag hai dil kī ki is meñ
vahī jaltā hai jo jaltā nahīñ hai
ajab hi aag hai dil ki ki is mein
wahi jalta hai jo jalta nahin hai
chhoTī sī ek baat mirī phailtī ga.ī
ya.anī mire ḳhayāl meñ barakat ziyāda hai
chhoTi si ek baat meri phailti gai
yani mere KHayal mein barakat ziyaada hai
dil-e-tabāh meñ ābād hai zamāne se
ik aisī baat jo khultī hai muskurāne se
dil-e-tabah mein aabaad hai zamane se
ek aisi baat jo khulti hai muskurane se
vo dard uThā dil meñ ki jis dard kā darmāñ
gar ho na pas-e-lafz to miltā hai sar-e-dār
wo dard uTha dil mein ki jis dard ka darman
gar ho na pas-e-lafz to milta hai sar-e-dar
kisī nigāh meñ itnā Thahar ke aa.ī hai
ye kā.enāt bahut ban-sañvar ke aa.ī hai
kisi nigah mein itna Thahar ke aai hai
ye kaenat bahut ban-sanwar ke aai hai
bahut Dartā thā rone se
so ban kar muttaqī royā
bahut Darta tha rone se
so ban kar muttaqi roya
dard thā haijān thā par aañkh meñ aañsū na the
jaise dil tak aate aate hādisa kam paḌ gayā
dard tha haijaan tha par aankh mein aansu na the
jaise dil tak aate aate hadisa kam paD gaya
bikharne se bahut pahle jise kuchh bhī nahīñ kahte
bikharne se zarā pahle use shīrāza kahte haiñ
bikharne se bahut pahle jise kuchh bhi nahin kahte
bikharne se zara pahle use shiraaza kahte hain
kisī lāshe pe ye bād-e-sabā kahtī huī guzrī
shahīd-e-ishq hai is ke lahū ko taaza kahte haiñ
kisi lashe pe ye baad-e-saba kahti hui guzri
shahid-e-ishq hai is ke lahu ko taza kahte hain
ḳhvāhish se kab hai terī talab aarzū se hai
ik samt se nahīñ ye ġhazab chār-sū se hai
KHwahish se kab hai teri talab aarzu se hai
ek samt se nahin ye ghazab chaar-su se hai
maiñ to laa.eq nahīñ thā shar ke bhī
rakh diye us ne ḳhair-o-shar mujh meñ
main to laeq nahin tha shar ke bhi
rakh diye us ne KHair-o-shar mujh mein
aañkh se kyā maiñ to apne dil se bāhar ho gayā
raqs hī aisā thā har ik dā.era kam paḌ gayā
aankh se kya main to apne dil se bahar ho gaya
raqs hi aisa tha har ek daera kam paD gaya
ā.īn-e-ishq yuuñ bhī badalnā thā ek din
jo baat vasl se thī vo ab guftugū se hai
aain-e-ishq yun bhi badalna tha ek din
jo baat wasl se thi wo ab guftugu se hai
hamāre daur meñ dil bhī hai chhoTā
baḌā hai kuchh to bas ibrat baḌī hai
hamare daur mein dil bhi hai chhoTa
baDa hai kuchh to bas ibrat baDi hai
gayā hai jab kabhī dil par gayā hai
ye merā haath mushkil par gayā hai
gaya hai jab kabhi dil par gaya hai
ye mera hath mushkil par gaya hai