Sher of Shakir Dehlvi
siyāh āñkhoñ kī rangat kī ik jhalak ke liye
tirī talāsh meñ surma-farosh rahte haiñ
siyah aankhon ki rangat ki ek jhalak ke liye
teri talash mein surma-farosh rahte hain
tum se Takrā.e to huā mā'lūm
hādse ḳhushnumā bhī hote haiñ
tum se Takrae to hua ma'lum
hadse KHushnuma bhi hote hain
ye tirī yaad jo kar jaatī hai bechain hameñ
ye tirī yaad kabhī ba.is-e-taskīn bhī thī
ye teri yaad jo kar jati hai bechain hamein
ye teri yaad kabhi bais-e-taskin bhi thi
ye dil-vil kā dhḌaknā kuchh nahīñ hai
tire siine meñ jo halchal hai maiñ huuñ
ye dil-wil ka dhDakna kuchh nahin hai
tere sine mein jo halchal hai main hun
ik adhūrā ḳhvāb jo aksar Darātā thā mujhe
terā jaanā us adhūre ḳhvāb kī tā'bīr hai
ek adhura KHwab jo aksar Daraata tha mujhe
tera jaana us adhure KHwab ki ta'bir hai
hamāre ghar meñ ye tahzīb ab bhī zinda hai
buzurg boleñ to bachche ḳhamosh rahte haiñ
hamare ghar mein ye tahzib ab bhi zinda hai
buzurg bolen to bachche KHamosh rahte hain
niiñd aa.ī to dhuup khile tak so.eñge
ḳhvāboñ kī fehrist banā kar baiThe haiñ
nind aai to dhup khile tak soenge
KHwabon ki fehrist bana kar baiThe hain
is qadar Dar hai maut kā us ko
jaan de degā zindagī ke liye
is qadar Dar hai maut ka us ko
jaan de dega zindagi ke liye
do meñ koī ek ho to phir bhī ban jaatī hai baat
mas.ala ye hai ki ham donoñ hī the ziddī bahut
do mein koi ek ho to phir bhi ban jati hai baat
masala ye hai ki hum donon hi the ziddi bahut
roz tārīḳh calendar meñ badal jaatī thī
phir vo tārīḳh bhī aa.ī ki calendar badlā
roz tariKH calendar mein badal jati thi
phir wo tariKH bhi aai ki calendar badla
shukr kiije ki maut hai varna
zindagī se hameñ bachātā kaun
shukr kije ki maut hai warna
zindagi se hamein bachata kaun
balliyoñ kūdtā uchhaltā dil
aap kī ik nahīñ pe baiTh gayā
balliyon kudta uchhalta dil
aap ki ek nahin pe baiTh gaya
ho bhaTakne kā jise shauq mire saath chale
jo ho manzil kā talabgār palaT jaa.e abhī
ho bhaTakne ka jise shauq mere sath chale
jo ho manzil ka talabgar palaT jae abhi
ham se mil kar dekhiye achchhā lagegā aap ko
ādmiyyat ke abhī tak an-chhue pahlū haiñ ham
hum se mil kar dekhiye achchha lagega aap ko
aadmiyyat ke abhi tak an-chhue pahlu hain hum