Sher of Shakir Kalkattvi
ye mājrā-e-mohabbat samajh meñ aa na sakā
vo haath aa.e to maiñ haath unheñ lagā na sakā
ye majra-e-mohabbat samajh mein aa na saka
wo hath aae to main hath unhen laga na saka
rone ke badle apnī tabāhī pe hañs diyā
'shākir' ne is tarah gila-e-āsmāñ kiyā
rone ke badle apni tabahi pe hans diya
'shakir' ne is tarah gila-e-asman kiya
qasam hī nahīñ hai faqat is kā sheva
taġhāful bhī hai ek andāz us kā
qasam hi nahin hai faqat is ka shewa
taghaful bhi hai ek andaz us ka
zarā chashm-e-karam se dekh lo tum
sahārā DhūñDhtā huuñ zindagī kā
zara chashm-e-karam se dekh lo tum
sahaara DhunDhta hun zindagi ka