Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
Sharib Mauranwi's Photo'

Sharib Mauranwi

1963 | Barabanki, India

Sharib Mauranwi

Ghazal 30

Nazm 1

 

Sher-o-Shayari 15

kisī ko maar ke ḳhush ho rahe haiñ dahshat-gard

kahīñ pe shām-e-ġharībāñ kahīñ divālī hai

kisi ko mar ke KHush ho rahe hain dahshat-gard

kahin pe sham-e-ghariban kahin diwali hai

peḌ ke nīche zarā chhāñv jo us ko milī

so gayā mazdūr tan par boriyā oḌhe hue

peD ke niche zara si chhanw jo us ko mili

so gaya mazdur tan par boriya oDhe hue

saroñ pe oḌh ke mazdūr dhuup chādar

ḳhud apne sar pe use sā.ebāñ samajhne lage

saron pe oDh ke mazdur dhup ki chadar

KHud apne sar pe use saeban samajhne lage

ham aise dasht tālāb haiñ jahāñ paanī

koī bhī sher ho gardan jhukā ke piitā hai

hum aise dasht ka talab hain jahan pani

koi bhi sher ho gardan jhuka ke pita hai

  • Share this

qafas ke band parinde haiñ jin āñkhoñ meñ

asīrī ghūmtī rahtī hai qaid-ḳhānoñ

qafas ke band parinde hain jin ki aankhon mein

asiri ghumti rahti hai qaid-KHanon ki

  • Share this

Salam 1

 

More Poets From "Barabanki"

Recitation

Speak Now