aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
Sharif kunjahi's Photo'

Sharif kunjahi

Sharif kunjahi

Ghazal 8

Nazm 1

 

Sher-o-Shayari 6

june garmī se na ghabrā ki jahāñ meñ

ye to hamesha na rahī hai na rahegī

tu june ki garmi se na ghabra ki jahan mein

ye lu to hamesha na rahi hai na rahegi

tavīl raat bhī āḳhir ko ḳhatm hotī hai

'sharīf' ham na añdheroñ se maat khā.eñge

tawil raat bhi aaKHir ko KHatm hoti hai

'sharif' hum na andheron se mat khaenge

bastiyāñ ne ḳhalāoñ meñ basā.īñ bhī to kyā

dil ke vīrānoñ ko dekh in ko bhī kuchh ābād kar

bastiyan tu ne KHalaon mein basain bhi to kya

dil ke viranon ko dekh in ko bhi kuchh aabaad kar

  • Share this

ġhunūda rāhoñ ko tak tak ke sogvār na ho

tire qadam musāfir inheñ jagā.eñge

ghunuda rahon ko tak tak ke sogwar na ho

tere qadam hi musafir inhen jagaenge

gulzār meñ vo rut bhī kabhī aa ke rahegī

jab koī kalī jaur ḳhizāñ ke na sahegī

gulzar mein wo rut bhi kabhi aa ke rahegi

jab koi kali jaur KHizan ke na sahegi

BOOKS 46

Recitation

Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

GET YOUR PASS
Speak Now