Shariq Kaifi
Ghazal 175
Nazm 66
Sher-o-Shayari 66
ghar meñ ḳhud ko qaid to maiñ ne aaj kiyā hai
tab bhī tanhā thā jab mahfil mahfil thā maiñ
ghar mein KHud ko qaid to main ne aaj kiya hai
tab bhi tanha tha jab mahfil mahfil tha main
-
Share this
- See Ghazal
vo baat soch ke maiñ jis ko muddatoñ jiitā
bichhaḌte vaqt batāne kī kyā zarūrat thī
wo baat soch ke main jis ko muddaton jita
bichhaDte waqt batane ki kya zarurat thi
-
Share this
- See Ghazal
kaun thā vo jis ne ye haal kiyā hai merā
kis ko itnī āsānī se hāsil thā maiñ
kaun tha wo jis ne ye haal kiya hai mera
kis ko itni aasani se hasil tha main
-
Share this
- See Ghazal
BOOKS 6
Image Shayari 6
intihaa tak baat le jaataa huu.n mai.n ab use aise hii samjhaataa huu.n mai.n kuchh havaa kuchh dil dha.Dakne kii sadaa shor me.n kuchh sun nahii.n paataa huu.n mai.n bin kahe aa.uu.ngaa jab bhii aa.uu.ngaa muntazir aa.nkho.n se ghabraataa huu.n mai.n yaad aatii hai tirii sanjiidgii aur phir ha.nstaa chalaa jaataa huu.n mai.n faasla rakh ke bhii kyaa haasil hu.aa aaj bhii us kaa hii kahlaataa huu.n mai.n chhup rahaa huu.n aa.ine kii aa.nkh se tho.Daa tho.Daa roz dhu.ndlaataa huu.n mai.n apnii saarii shaan kho detaa hai zaKHm jab davaa kartaa nazar aataa huu.n mai.n sach to ye hai mustarad kar ke use ik tarah se KHud ko jhuTlaataa huu.n mai.n aaj us par bhii bhaTaknaa pa.D gayaa roz jis raste se ghar aataa huu.n mai.n
kahii.n na thaa vo dariyaa jis kaa saahil thaa mai.n aa.nkh khulii to ik sahraa ke muqaabil thaa mai.n haasil kar ke tujh ko ab sharminda saa huu.n thaa ik vaqt ki sach-much tere qaabil thaa mai.n kis ehsaas-e-jurm kii sab karte hai.n tavaqqo ik kirdaar kiyaa thaa jis me.n qaatil thaa mai.n kaun thaa vo jis ne ye haal kiyaa hai meraa kis ko itnii aasaanii se haasil thaa mai.n saarii tavajjoh dushman par markuuz thii merii apnii taraf se to bilkul hii Gaafil thaa mai.n jin par mai.n tho.Daa saa bhii aasaan hu.aa huu.n vahii bataa sakte hai.n kitnaa mushkil thaa mai.n nii.nd nahii.n aatii thii saazish ke dha.Dke me.n faateh ho kar bhii kis darja buzdil thaa mai.n ghar me.n KHud ko qaid to mai.n ne aaj kiyaa hai tab bhii tanhaa thaa jab mahfil mahfil thaa mai.n
mumkin hii na thii KHud se shanaasaa.ii yahaa.n tak le aayaa mujhe meraa tamaashaa.ii yahaa.n tak rasta ho agar yaad to ghar lauT bhii jaa.uu.n laa.ii thii kisii aur kii biinaa.ii yahaa.n tak shaayad tah-e-dariyaa me.n chhupaa thaa kahii.n sahraa merii hii nazar dekh nahii.n paa.ii yahaa.n tak mahfil me.n bhii tanhaa.ii ne piichhaa nahii.n chho.Daa ghar me.n na milaa mai.n to chalii aa.ii yahaa.n tak sahraa hai to sahraa kii tarah pesh bhii aa.e aayaa hai isii shauq me.n saudaa.ii yahaa.n tak ik khel thaa aur khel me.n sochaa bhii nahii.n thaa ju.D jaa.egaa mujh se vo tamaashaa.ii yahaa.n tak ye umr hai jo us kii KHataa-vaar hai 'shaariq' rahtii hii nahii.n baato.n me.n sachchaa.ii yahaa.n tak
Videos 14
Playing videos from section
Poet reciting own poetry

Shariq Kaifi, one of the leading Urdu poet from India reciting his ghazals at Mushaira at Delhi in 2014 organized by Rekhta.org - the largest website for Urdu poetry. Shariq Kaifi

Shariq Kaifi, one of the leading Urdu poet from India reciting his ghazals at Mushaira at Delhi in 2014 organized by Rekhta.org - the largest website for Urdu poetry. Shariq Kaifi

Shariq Kaifi, one of the leading Urdu poet from India reciting his ghazals at Mushaira at Delhi in 2014 organized by Rekhta.org - the largest website for Urdu poetry. Shariq Kaifi

Shariq Kaifi is a famous Urdu poet from Bareily (U.P.). Watch him reciting his ghazal at Rekhta Studio. Shariq Kaifi

Shariq Kaifi, one of the leading Urdu poet from India reciting his ghazals at Mushaira at Delhi in 2014 organized by Rekhta.org - the largest website for Urdu poetry. Shariq Kaifi
