Sher of Shefta Mustafa Khan
iz.hār-e-ishq us se na karnā thā 'sheftā'
ye kyā kiyā ki dost ko dushman banā diyā
izhaar-e-ishq us se na karna tha 'shefta'
ye kya kiya ki dost ko dushman bana diya
ham tālib-e-shohrat haiñ hameñ nañg se kyā kaam
badnām agar hoñge to kyā naam na hogā
hum talib-e-shohrat hain hamein nang se kya kaam
badnam agar honge to kya nam na hoga
fasāne yuuñ to mohabbat ke sach haiñ par kuchh kuchh
baḌhā bhī dete haiñ ham zeb-e-dāstāñ ke liye
fasane yun to mohabbat ke sach hain par kuchh kuchh
baDha bhi dete hain hum zeb-e-dastan ke liye
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
jis lab ke ġhair bose leñ us lab se 'sheftā'
kambaḳht gāliyāñ bhī nahīñ mere vāste
those lips that others get to kiss alas on them I see
not even curses or abuse are now assigned for me
jis lab ke ghair bose len us lab se 'shefta'
kambaKHt galiyan bhi nahin mere waste
those lips that others get to kiss alas on them I see
not even curses or abuse are now assigned for me
-
Tag : Kiss
-
Share this
- Translation
- Critique
- Comments
- Download
itnī na baḌhā pākī-e-dāmāñ kī hikāyat
dāman ko zarā dekh zarā band-e-qabā dekh
itni na baDha paki-e-daman ki hikayat
daman ko zara dekh zara band-e-qaba dekh
-
Tag : Zarb-ul-masal
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
shāyad isī kā naam mohabbat hai 'sheftā'
ik aag sī hai siine ke andar lagī huī
shayad isi ka nam mohabbat hai 'shefta'
ek aag si hai sine ke andar lagi hui
be-uzr vo kar lete haiñ va.ada ye samajh kar
ye ahl-e-muravvat haiñ taqāzā na kareñge
be-uzr wo kar lete hain wada ye samajh kar
ye ahl-e-murawwat hain taqaza na karenge
hazār daam se niklā huuñ ek jumbish meñ
jise ġhurūr ho aa.e kare shikār mujhe
hazar dam se nikla hun ek jumbish mein
jise ghurur ho aae kare shikar mujhe
kis liye lutf kī bāteñ haiñ phir
kyā koī aur sitam yaad aayā
kis liye lutf ki baaten hain phir
kya koi aur sitam yaad aaya
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
āshufta-ḳhātirī vo balā hai ki 'sheftā'
taa.at meñ kuchh maza hai na lazzat gunāh meñ
aashufta-KHatiri wo bala hai ki 'shefta'
taat mein kuchh maza hai na lazzat gunah mein
uḌtī sī 'sheftā' kī ḳhabar kuchh sunī hai aaj
lekin ḳhudā kare ye ḳhabar mo'tabar na ho
uDti si 'shefta' ki KHabar kuchh suni hai aaj
lekin KHuda kare ye KHabar mo'tabar na ho
ai tāb-e-barq thoḌī sī taklīf aur bhī
kuchh rah ga.e haiñ ḳhār-o-ḳhas-e-āshiyāñ hanūz
ai tab-e-barq thoDi si taklif aur bhi
kuchh rah gae hain KHar-o-KHas-e-ashiyan hanuz
dil-e-bad-ḳhū kī kisī tarah ra.ūnat kam ho
chāhtā huuñ vo sanam jis meñ mohabbat kam ho
dil-e-bad-KHu ki kisi tarah raunat kam ho
chahta hun wo sanam jis mein mohabbat kam ho
kis tajāhul se vo kahtā hai kahāñ rahte ho
tere kūche meñ sitamgār tire kūche meñ
kis tajahul se wo kahta hai kahan rahte ho
tere kuche mein sitamgar tere kuche mein
shab vasl kī bhī chain se kyūñkar basar kareñ
jab yuuñ nigāhbānī murġh-e-sahar kareñ
shab wasl ki bhi chain se kyunkar basar karen
jab yun nigahbani murgh-e-sahar karen