Sher of Sikandar Ali Wajd
jaane vaale kabhī nahīñ aate
jaane vāloñ kī yaad aatī hai
jaane wale kabhi nahin aate
jaane walon ki yaad aati hai
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
dil kī bastī ajiib bastī hai
ye ujaḌne ke ba.ad bastī hai
dil ki basti ajib basti hai
ye ujaDne ke baad basti hai
der se aa rahī hai yaad tirī
kyā tujhe yaad aa rahā huuñ maiñ
der se aa rahi hai yaad teri
kya tujhe yaad aa raha hun main
bahār aa.e to ḳhud hī laala o nargis batā deñge
ḳhizāñ ke daur meñ dilkash gulistānoñ pe kyā guzrī
bahaar aae to KHud hi lala o nargis bata denge
KHizan ke daur mein dilkash gulistanon pe kya guzri
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
tamīz-e-ḳhvāb-o-haqīqat hai shart-e-bedārī
ḳhayāl-e-azmat-e-māzī ko chhoḌ haal ko dekh
tamiz-e-KHwab-o-haqiqat hai shart-e-bedari
KHayal-e-azmat-e-mazi ko chhoD haal ko dekh
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
ḳhudā shāhid hai mere bhūlne vaale ba-juz tere
mujhe taḳhlīq-e-ālam rā.egāñ ma.alūm hotī hai
KHuda shahid hai mere bhulne wale ba-juz tere
mujhe taKHliq-e-alam raegan malum hoti hai
ahl-e-himmat ko balāoñ pe hañsī aatī hai
nañg-e-hastī hai musībat meñ pareshāñ honā
ahl-e-himmat ko balaon pe hansi aati hai
nang-e-hasti hai musibat mein pareshan hona