Tribute Shayari
Noble people don’t ever die. They may get a release from their body but their memories stay back. Here are some verses written to pay respect to the departed ones who are remembered for their good deeds. These verses show reverence for the dead and also underscore the significance of virtue which qualifies a human being to be a human being.
ye mujhe chain kyuuñ nahīñ paḌtā
ek hī shaḳhs thā jahān meñ kyā
ye mujhe chain kyun nahin paDta
ek hi shaKHs tha jahan mein kya
hazāroñ saal nargis apnī be-nūrī pe rotī hai
baḌī mushkil se hotā hai chaman meñ dīda-var paidā
hazaron sal nargis apni be-nuri pe roti hai
baDi mushkil se hota hai chaman mein dida-war paida
-
Tags: Famous shayariand 1 more
mat sahl hameñ jaano phirtā hai falak barsoñ
tab ḳhaak ke parde se insān nikalte haiñ
mat sahl hamein jaano phirta hai falak barson
tab KHak ke parde se insan nikalte hain
-
Tags: Falakand 1 more
bichhḌā kuchh is adā se ki rut hī badal ga.ī
ik shaḳhs saare shahr ko vīrān kar gayā
bichhDa kuchh is ada se ki rut hi badal gai
ek shaKHs sare shahr ko viran kar gaya
-
Tag: Maut
rahne ko sadā dahr meñ aatā nahīñ koī
tum jaise ga.e aise bhī jaatā nahīñ
rahne ko sada dahr mein aata nahin koi
tum jaise gae aise bhi jata nahin
kahānī ḳhatm huī aur aisī ḳhatm huī
ki log rone lage tāliyāñ bajāte hue
kahani KHatm hui aur aisi KHatm hui
ki log rone lage taliyan bajate hue
-
Tag: Maut
ab nahīñ lauT ke aane vaalā
ghar khulā chhoḌ ke jaane vaalā
ab nahin lauT ke aane wala
ghar khula chhoD ke jaane wala
-
Tags: Judaiand 1 more
ek sūraj thā ki tāroñ ke gharāne se uThā
aañkh hairān hai kyā shaḳhs zamāne se uThā
ek suraj tha ki taron ke gharane se uTha
aankh hairan hai kya shaKHs zamane se uTha
log achchhe haiñ bahut dil meñ utar jaate haiñ
ik burā.ī hai to bas ye hai ki mar jaate haiñ
log achchhe hain bahut dil mein utar jate hain
ek burai hai to bas ye hai ki mar jate hain
uTh ga.ī haiñ sāmne se kaisī kaisī sūrateñ
roiye kis ke liye kis kis kā mātam kījiye
uTh gai hain samne se kaisi kaisi suraten
roiye kis ke liye kis kis ka matam kijiye
-
Tags: Mautand 1 more
jaane vaale kabhī nahīñ aate
jaane vāloñ kī yaad aatī hai
jaane wale kabhi nahin aate
jaane walon ki yaad aati hai
-
Tags: Yaadand 1 more
sab kahāñ kuchh lāla-o-gul meñ numāyāñ ho ga.iiñ
ḳhaak meñ kyā sūrateñ hoñgī ki pinhāñ ho ga.iiñ
sab kahan kuchh lala-o-gul mein numayan ho gain
KHak mein kya suraten hongi ki pinhan ho gain
-
Tags: Yaadand 1 more
jinheñ ab gardish-e-aflāk paidā kar nahīñ saktī
kuchh aisī hastiyāñ bhī dafn haiñ gor-e-ġharībāñ meñ
jinhen ab gardish-e-aflak paida kar nahin sakti
kuchh aisi hastiyan bhi dafn hain gor-e-ghariban mein
-
Tag: Yaad-e-Raftagan
ve sūrateñ ilāhī kis mulk bastiyāñ haiñ
ab dekhne ko jin ke āñkheñ tarastiyāñ haiñ
we suraten ilahi kis mulk bastiyan hain
ab dekhne ko jin ke aankhen tarastiyan hain
ye hijrateñ haiñ zamīn o zamāñ se aage kī
jo jā chukā hai use lauT kar nahīñ aanā
ye hijraten hain zamin o zaman se aage ki
jo ja chuka hai use lauT kar nahin aana
-
Tags: Hijratand 1 more
jin se mil kar zindagī se ishq ho jaa.e vo log
aap ne shāyad na dekhe hoñ magar aise bhī haiñ
jin se mil kar zindagi se ishq ho jae wo log
aap ne shayad na dekhe hon magar aise bhi hain