Sher of Siraj Alam Zakhmi
sadā-e-dil ko kahīñ bāryāb honā thā
mire savāl kā kuchh to javāb honā thā
sada-e-dil ko kahin baryab hona tha
mere sawal ka kuchh to jawab hona tha
itnā na duur jaao ki jiinā muhāl ho
yuuñ bhī na paas aao ki dam hī nikal paḌe
itna na dur jao ki jina muhaal ho
yun bhi na pas aao ki dam hi nikal paDe
ḳhud ko bachā.ūñ jism sambhālūñ ki ruuh ko
bikhrā huā hai dard yahāñ se vahāñ talak
KHud ko bachaun jism sambhaalun ki ruh ko
bikhra hua hai dard yahan se wahan talak
bikharte TūTte lamhoñ meñ aisā lagtā hai
mirā gumān hai tū aur tirā qayās huuñ maiñ
bikharte TuTte lamhon mein aisa lagta hai
mera guman hai tu aur tera qayas hun main
dil meñ tūfān nahīñ aañkh meñ sailāb nahīñ
aise jiine se to behtar thā ki mar hī jaate
dil mein tufan nahin aankh mein sailab nahin
aise jine se to behtar tha ki mar hi jate
kyā hamsarī kī ham se tamannā kare koī
ham ḳhud bhī apne qad ke barābar na ho sake
kya hamsari ki hum se tamanna kare koi
hum KHud bhi apne qad ke barabar na ho sake
koī shikva koī gila de de
mujh ko jiine kā hausla de de
koi shikwa koi gila de de
mujh ko jine ka hausla de de
bevafā.ī kā mujhe ilzām detā thā vo shaḳhs
maiñ ne bhī itnā kiyā bas us ko sachchā kar diyā
bewafai ka mujhe ilzam deta tha wo shaKHs
main ne bhi itna kiya bas us ko sachcha kar diya
toḌe baġhair sañg tarāshe na jā.eñge
vo dil hī kyā jo TuuT ke patthar na ho sake
toDe baghair sang tarashe na jaenge
wo dil hi kya jo TuT ke patthar na ho sake
vo itnī shiddatoñ se sochtā hai
ki jaise maiñ bhī koī mas.ala huuñ
wo itni shiddaton se sochta hai
ki jaise main bhi koi masala hun
dil meñ rah rah ke shor uThtā hai
koī rahtā hai is makān meñ kyā
dil mein rah rah ke shor uThta hai
koi rahta hai is makan mein kya