Sher of Sohail Azeemabadi
patthar to hazāroñ ne maare the mujhe lekin
jo dil pe lagā aa kar ik dost ne maarā hai
patthar to hazaron ne mare the mujhe lekin
jo dil pe laga aa kar ek dost ne mara hai
terī be-pardagī hī husn kā parda niklī
kaam kuchh kar ga.ī har haal meñ ġhaflat merī
teri be-pardagi hi husn ka parda nikli
kaam kuchh kar gai har haal mein ghaflat meri
koī mahfil se uTh kar jā rahā hai
sambhal ai dil burā vaqt aa rahā hai
koi mahfil se uTh kar ja raha hai
sambhal ai dil bura waqt aa raha hai
tamannāoñ kī duniyā dil meñ ham ābād karte haiñ
ġhazab hai apne hāthoñ zindagī barbād karte haiñ
tamannaon ki duniya dil mein hum aabaad karte hain
ghazab hai apne hathon zindagi barbaad karte hain
kyā ġham hai jo ham gumnām rahe tum to na magar badnām hue
achchhā hai ki mere marne par duniyā meñ mirā mātam na huā
kya gham hai jo hum gumnam rahe tum to na magar badnam hue
achchha hai ki mere marne par duniya mein mera matam na hua
'suhail' un dostoñ kā jī lage kis tarah college meñ
jo dars-e-shauq lete haiñ kitāb-e-rū-e-jānāñ se
'suhail' un doston ka ji lage kis tarah college mein
jo dars-e-shauq lete hain kitab-e-ru-e-jaanan se
kyā lutf hai aise jiine kā jis kī na kisī ko parvā ho
kis kaam kā marnā vo marnā jis kā ki kisī ko ġham na huā
kya lutf hai aise jine ka jis ki na kisi ko parwa ho
kis kaam ka marna wo marna jis ka ki kisi ko gham na hua
vo rāteñ kaif meñ Duubī vo terī pyaar kī bāteñ
nikal paḌte haiñ aañsū jab kabhī ham yaad karte haiñ
wo raaten kaif mein Dubi wo teri pyar ki baaten
nikal paDte hain aansu jab kabhi hum yaad karte hain
siina figār chāk-garebāñ kafan-ba-dosh
aa.e haiñ terī bazm meñ is bāñkpan se ham
sina figar chaak-gareban kafan-ba-dosh
aae hain teri bazm mein is bankpan se hum
vo kaun dil hai jahāñ meñ kah duuñ jise ki ye aap kā nahīñ hai
ġhazab to ye hai ki merā dil hai magar mirā ham-navā nahīñ hai
wo kaun dil hai jahan mein kah dun jise ki ye aap ka nahin hai
ghazab to ye hai ki mera dil hai magar mera ham-nawa nahin hai
jañgal meñ ga.e gulshan meñ ga.e bastī meñ ga.e sahrā meñ ga.e
har tarah se bahlāyā dil ko par dil kā dhḌaknā kam na huā
jangal mein gae gulshan mein gae basti mein gae sahra mein gae
har tarah se bahlaya dil ko par dil ka dhDakna kam na hua
vo lamha ziist kā la.anat hai aadmī ke liye
jhuke jo sar kahīñ iz.hār-e-bandagī ke liye
wo lamha zist ka lanat hai aadmi ke liye
jhuke jo sar kahin izhaar-e-bandagi ke liye
ai hasrat-e-dil go vasl huā par shauq hamārā kam na huā
jis se ki ḳhalish kuchh aur baḌhe vo zaḳhm huā marham na huā
ai hasrat-e-dil go wasl hua par shauq hamara kam na hua
jis se ki KHalish kuchh aur baDhe wo zaKHm hua marham na hua
hai ye matlab gardish-e-ayyām kā
parda rakh le koshish-e-nākām kā
hai ye matlab gardish-e-ayyam ka
parda rakh le koshish-e-nakaam ka
dimāġh ko kar rahā huuñ raushan maiñ dāġh-e-dil ke jalā rahā huuñ
ab apnī tārīk zindagī kā nayā sarāpā banā rahā huuñ
dimagh ko kar raha hun raushan main dagh-e-dil ke jala raha hun
ab apni tarik zindagi ka naya sarapa bana raha hun
ḳhaak uchhālo jo zamīñ par to falak par gir jaa.e
ab khulā ye ki bahut past hai himmat merī
KHak uchhaalo jo zamin par to falak par gir jae
ab khula ye ki bahut past hai himmat meri
al-madad ai jazba-e-zauq-e-mohabbat al-madad
ishq ne āvāz dī be-iḳhtiyārāna mujhe
al-madad ai jazba-e-zauq-e-mohabbat al-madad
ishq ne aawaz di be-iKHtiyarana mujhe
har vaqt kī āh-o-zārī se dam bhar to zarā miltī fursat
ronā hī muqaddar thā merā to kis liye maiñ shabnam na huā
har waqt ki aah-o-zari se dam bhar to zara milti fursat
rona hi muqaddar tha mera to kis liye main shabnam na hua
dekhiye dekhiye hai banda-e-be-dām 'suhail'
nigah-e-nargis-e-maḳhmūr hai qīmat merī
dekhiye dekhiye hai banda-e-be-dam 'suhail'
nigah-e-nargis-e-maKHmur hai qimat meri