aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair
jis ke hote hue hote the zamāne mere
1970 | Dharamshala, India
kal tak jo kuchh na thā mirā īmān ho gayā
ik 'aam aadmī se maiñ insān ho gayā
kal tak jo kuchh na tha mera iman ho gaya
ek 'am aadmi se main insan ho gaya
dekh terī sohbatoñ kā kyā asar aayā hai aaj
ek āvāra parinda phir se ghar aayā hai aaj
dekh teri sohbaton ka kya asar aaya hai aaj
ek aawara parinda phir se ghar aaya hai aaj
yuuñ imtihān merā lete rahe masā.il
ik haath par thā dariyā ik haath par thā sāhil
yun imtihan mera lete rahe masail
ek hath par tha dariya ek hath par tha sahil
chhū bhī letī hai musībat gar mirī dahlīz ko
ek zarra huuñ magar chaTTān ho jaatā huuñ maiñ
chhu bhi leti hai musibat gar meri dahliz ko
ek zarra hun magar chaTTan ho jata hun main
mujh ko joḌā hai toḌ kar ḳhud ko
us ne mujh ko bikhartā paayā jab
mujh ko joDa hai toD kar KHud ko
us ne mujh ko bikharta paya jab
You have exhausted 5 free content pages per year. Register and enjoy UNLIMITED access to the whole universe of Urdu Poetry, Rare Books, Language Learning, Sufi Mysticism, and more.
Devoted to the preservation & promotion of Urdu
A Trilingual Treasure of Urdu Words
Online Treasure of Sufi and Sant Poetry
World of Hindi language and literature
The best way to learn Urdu online
Best of Urdu & Hindi Books