Sulaiman Areeb
Ghazal 16
Nazm 14
Sher-o-Shayari 2
'arrīb' dekho na itrāo chand sheroñ par
ġhazal vo fan hai ki 'ġhālib' ko tum salām karo
'arrib' dekho na itrao chand sheron par
ghazal wo fan hai ki 'ghaalib' ko tum salam karo
-
Share this
- See Ghazal
ek hammām meñ tabdīl huī hai duniyā
sab hī nañge haiñ kise dekh ke sharmā.ūñ maiñ
ek hammam mein tabdil hui hai duniya
sab hi nange hain kise dekh ke sharmaun main
-
Share this
- See Ghazal
BOOKS 151
Image Shayari 1
ko.ii dushman ko.ii hamdam bhii nahii.n saath apne tuu nahii.n hai to do-aalam bhii nahii.n saath apne saath kuchh duur tire ham bhii ga.e the lekin ab kahaa.n jaa.e.n ki KHud ham bhii nahii.n saath apne vo bhii ik vaqt thaa KHurshiid-ba-kaf phirte the ye bhii ik vaqt hai shabnam bhii nahii.n saath apne naaKHun-e-vaqt ne kab zaKHm ko dahkaayaa hai aise ik vaqt ki marham bhii nahii.n saath apne saamne kitnii saliibe.n hai.n pa.e be-gunahii aaj laKHt-e-dil-e-maryam bhii nahii.n saath apne pii ke sochaa ki KHariide.nge Gam-e-duniyaa bhii tai hu.e daam to dirham bhii nahii.n saath apne