Suroor Barabankvi
Ghazal 20
Nazm 3
Sher-o-Shayari 2
jin se mil kar zindagī se ishq ho jaa.e vo log
aap ne shāyad na dekhe hoñ magar aise bhī haiñ
jin se mil kar zindagi se ishq ho jae wo log
aap ne shayad na dekhe hon magar aise bhi hain
- Add to favorites
-
Share this
ham log na uljhe haiñ na uljheñge kisī se
ham ko to hamārā hī garebān bahut hai
hum log na uljhe hain na uljhenge kisi se
hum ko to hamara hi gareban bahut hai
- Add to favorites
-
Share this
Qita 1
Image Shayari 2
yahii nahii.n ki miraa dil hii mere bas me.n na thaa jo tuu milaa to me.n KHud apnii dastaras me.n na thaa ba-naam-e-ahd-e-rifaaqat bhii ham-qadam na hu.aa ye hausla mire ma.asuum ham-nafas me.n na thaa ajiib sehr kaa aalam thaa us kii qurbat me.n vo mere paas thaa aur merii dastaras me.n na thaa na jaane qaafila-e-ahl-e-dil pe kyaa guzrii ye iztiraab kabhii naala-e-jaras me.n na thaa KHabar to hogii tujhe tere jaa.n-nisaaro.n me.n ko.ii to thaa sar-e-maqtal jo pesh-o-pas me.n na thaa 'suruur' apne chaman kii fazaa hai kyaa kahiye sukuut kaa to vo aalam hai jo qafas me.n na thaa
Videos 22
