Swappnil Tiwari
Ghazal 34
Nazm 6
Sher-o-Shayari 13
baḌe hī ġhusse meñ ye kah ke us ne vasl kiyā
mujhe to tum se koī baat hī nahīñ karnī
baDe hi ghusse mein ye kah ke us ne wasl kiya
mujhe to tum se koi baat hi nahin karni
-
Share this
- See Ghazal
kis ne raste meñ ye umiid rakhī
is se Takrā ke gir paḌeñge ham
kis ne raste mein ye umid rakhi
is se Takra ke gir paDenge hum
-
Share this
- See Ghazal
niiñd kā rasta chhoTā hai
jis meñ ḳhvāb kī Thokar hai
nind ka rasta chhoTa hai
jis mein KHwab ki Thokar hai
-
Share this
- See Ghazal
ujāloñ meñ chhupī thī ek laḌkī
falak kā rañg-roġhan kar ga.ī hai
ujalon mein chhupi thi ek laDki
falak ka rang-roghan kar gai hai
-
Share this
- See Ghazal
ye zindagī jo pukāre to shak sā hotā hai
kahīñ abhī to mujhe ḳhud-kushī nahīñ karnī
ye zindagi jo pukare to shak sa hota hai
kahin abhi to mujhe KHud-kushi nahin karni
-
Share this
- See Ghazal
Image Shayari 1
dhiire dhiire Dhalte suuraj kaa safar meraa bhii hai shaam batlaatii hai mujh ko ek ghar meraa bhii hai jis nadii kaa tuu kinaara hai usii kaa mai.n bhii huu.n tere hisse me.n jo hai vo hii bha.nvar meraa bhii hai ek pagDanDii chalii jangal me.n bas ye soch kar dasht ke us paar shaayad ek ghar meraa bhii hai phuuTte hii ek ankur ne daraKHto.n se kahaa aasmaa.n ik chaahiye mujh ko ki sar meraa bhii hai aaj bedaarii mujhe shab bhar ye samjhaatii rahii ik zaraa saa haq tumhaare KHvaabo.n par meraa bhii hai mere ashko.n me.n chhupii thii svaatii kii ik buu.nd bhii is samundar me.n kahii.n par ik guhar meraa bhii hai shaaKH par shab kii lage is chaa.nd me.n hai dhuup jo vo mirii aa.nkho.n kii hai so vo samar meraa bhii hai tuu jahaa.n par KHaak u.Daane jaa rahaa hai ai junuu.n haa.n unhii.n viiraaniyo.n me.n ik kha.nDar meraa bhii hai jaan jaate hai.n pataa 'aatish' dhu.e.n se sab miraa sochtaa rahtaa huu.n kyaa ko.ii mafar meraa bhii hai