Sher of Syed Adeel Gilanii
raat kī tārīkiyoñ meñ hai daraḳhshāñ dāġh-e-dil
chāñd kahte phir rahe haiñ log mere zaḳhm ko
raat ki tarikiyon mein hai daraKHshan dagh-e-dil
chand kahte phir rahe hain log mere zaKHm ko
vo log jo ki 'ishq ke ab tak asiir the
guzrī kahāniyoñ ke fasāne lage mujhe
wo log jo ki 'ishq ke ab tak asir the
guzri kahaniyon ke fasane lage mujhe
ek muddat se tirī diid kī pyāsī āñkheñ
raah takte hue bīnā.ī gañvā baiThī haiñ
ek muddat se teri did ki pyasi aankhen
rah takte hue binai ganwa baiThi hain
ab vo raunaq hī nahīñ kis liye chhat par jā.ūñ
kho ga.e shaam ke manzar meñ gulābī chehre
ab wo raunaq hi nahin kis liye chhat par jaun
kho gae sham ke manzar mein gulabi chehre