Sher of Syed Huzaifa Kaif
nāsehā pūchhte phirte haiñ sabab uljhan kā
'ishq gar ḳhud ye kareñ hosh Thikāne lag jaa.eñ
naseha puchhte phirte hain sabab uljhan ka
'ishq gar KHud ye karen hosh Thikane lag jaen
maiñ tahayya kar ke baiThā thā ki duniyā chhoḌ duuñ
koī koyal 'ain us mauqa' pe gaane aa ga.ī
main tahayya kar ke baiTha tha ki duniya chhoD dun
koi koyal 'ain us mauqa' pe gane aa gai
maiñ tumheñ pā na sakūñ tum mujhe apnā na sako
phir yahī khel mirī jaan dubāra ho jaa.e
main tumhein pa na sakun tum mujhe apna na sako
phir yahi khel meri jaan dubara ho jae
us kī hī mohabbat meñ gire dost ki jis se
ham baat talak karne ko tayyār nahīñ the
us ki hi mohabbat mein gire dost ki jis se
hum baat talak karne ko tayyar nahin the
jin se ḳhud aap sañbhālā nahīñ jaatā ḳhud ko
un kā dā'vā hai ki vo aa ke sañbhāleñge mujhe
jin se KHud aap sanbhaala nahin jata KHud ko
un ka da'wa hai ki wo aa ke sanbhaalenge mujhe
gar nahīñ ye 'ishq to phir aur kyā shai hai bhalā
jo pas-e-parda rahe aur qalb merā khaa.e hai
gar nahin ye 'ishq to phir aur kya shai hai bhala
jo pas-e-parda rahe aur qalb mera khae hai
'kaif' kahte haiñ nāseh ki tanhā raho
maiñ ḳhudā to nahīñ huuñ jo yaktā rahūñ
'kaif' kahte hain naseh ki tanha raho
main KHuda to nahin hun jo yakta rahun