Sher of Syed Sabahat Wasti
apnī nazreñ haiñ apne chehre pe
koī apne sivā nahīñ rahtā
apni nazren hain apne chehre pe
koi apne siwa nahin rahta
jal ke parvāna jahāñ raakh bane
sham' kī aur vahāñ saakh bane
jal ke parwana jahan rakh bane
sham' ki aur wahan sakh bane
nishāna chuuk bhī jaa.e bharosa choT khātā hai
koī bhī vaar samjho to kabhī ḳhālī nahīñ jaatā
nishana chuk bhi jae bharosa choT khata hai
koi bhi war samjho to kabhi KHali nahin jata
nazar ik zāviye kī tarjumāñ hai
ye jo tasḳhīr-e-manzar hai gumāñ hai
nazar ek zawiye ki tarjuman hai
ye jo tasKHir-e-manzar hai guman hai
dil se khelā hai khilaunoñ ne bahut
ham khilaunoñ ke khilaune nikle
dil se khela hai khilaunon ne bahut
hum khilaunon ke khilaune nikle
raat se hone lagī hai haa.e ghabrāhaT mujhe
chauñk uThtā huuñ jo aa.e niiñd kī aahaT mujhe
raat se hone lagi hai hae ghabrahaT mujhe
chaunk uThta hun jo aae nind ki aahaT mujhe