aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
Syed Zamin Abbas Kazmi's Photo'

Syed Zamin Abbas Kazmi

1989 | Sahiwal, Pakistan

Syed Zamin Abbas Kazmi

Ghazal 12

Nazm 3

 

Sher-o-Shayari 11

jaise maiñ dostoñ se hañs ke gale miltā huuñ

koī ma.amūlī adākār nahīñ kar saktā

jaise main doston se hans ke gale milta hun

koi mamuli adakar nahin kar sakta

pahle bhī jis pe mire sabr had ḳhatm huī

ne kar vahī baat dobāra mire dost

pahle bhi jis pe mere sabr ki had KHatm hui

tu ne kar di na wahi baat dobara mere dost

  • Share this

tumhārī baat se itnā bhī dukh nahīñ pahuñchā

magar jo pahuñchā tumhārī vazāhatoñ se mujhe

tumhaari baat se itna bhi dukh nahin pahuncha

magar jo pahuncha tumhaari wazahaton se mujhe

  • Share this

hijr hogā na koī hijr nauha hogā

baaz aate haiñ mohabbat se jo hogā hogā

hijr hoga na koi hijr ka nauha hoga

baz aate hain mohabbat se jo hoga hoga

  • Share this

ek do baar to rokūñgā muravvat meñ tujhe

saikaḌoñ baar to isrār nahīñ kar saktā

ek do bar to rokunga murawwat mein tujhe

saikaDon bar to israr nahin kar sakta

  • Share this

More Poets From "Sahiwal"

 

Recitation

Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

GET YOUR PASS
Speak Now